اردو हिंदी
Ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai | Shaahi Shayari
ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai

Ghazal

Ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai

Govind Gulshan

;

ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai
duniya mein aansuon ka talabgar kaun hai

KHushiyan chala hun banTne aansu sameT kar
uljhan hai mere samne haqdar kaun hai

zid par aDe hue hain ye dil bhi dimagh bhi
ab dekhna hai in mein asar-dar kaun hai

pahle talash kijiye manzil ki rahguzar
phir sochiye ki rah mein diwar kaun hai

kanon ko chhu ke guzri hai koi sada abhi
ye kaun aah bharta hai bimar kaun hai

is par main hun aur ye TuTi hui si naw
aawaz de raha hai jo us par kaun hai