اردو हिंदी
UjDe hue hain shahr ke diwar-o-dar na ja | Shaahi Shayari
ujDe hue hain shahr ke diwar-o-dar na ja

Ghazal

UjDe hue hain shahr ke diwar-o-dar na ja

Mohammad Khalid

;

ujDe hue hain shahr ke diwar-o-dar na ja
dil ki riwayaten hain baDi mo'tabar na ja

pahna na KHwahishon ko libas-e-barahnagi
shab ki masafaton mein ba-rang-e-sahar na ja

kuchh der aur garmi-e-bazar dekh le
le kar hujum-e-hasrat-e-nazara ghar na ja

han main shikasta-dil hun magar aaina to hun
tu apna rang dekh mere haal par na ja

wo bhi to aaega sar-e-maidan-e-arzu
aaKHir hawa chalegi abhi se bikhar na ja

logon ne kar liye hain muqaffal masam bhi
KHalid misal-e-dast-e-saba dar-ba-dar na ja