ujala kar ke zulmat mein ghira hun
charagh-e-rahguzar tha bujh gaya hun
teri taswir kaise ban sakegi
har ek sada waraq ko dekhta hun
mujhe tufan se shikwa nahin hai
halak-e-be-ruKHi-e-naKHuda hun
tere tiron ka andaza karunga
abhi to zaKHm dil ke gun ga raha hun
tumhein suraj nazar aaenge apne
main aaina hun aur TuTa hua hun
saba aahista aahista uDunga
main dast-e-naz ka rang-e-hina hun

Ghazal
Ujala kar ke zulmat mein ghira hun
Saba Akbarabadi