اردو हिंदी
Ujala kaisa ujale ka KHwab la na sake | Shaahi Shayari
ujala kaisa ujale ka KHwab la na sake

Ghazal

Ujala kaisa ujale ka KHwab la na sake

Ezaz Afzal

;

ujala kaisa ujale ka KHwab la na sake
sahar se mang ke hum aaftab la na sake

hum apne chehra-e-be-dagh ke liye ai aql
teri dukan se koi naqab la na sake

jo chand par bhi gae hum to KHak hi lae
zamin ki nazr ko ek aaftab la na sake

gae to the tere jalwon ko jaanchne lekin
bacha ke hum nazar-e-intiKHab la na sake

zamin ki baat zamin ki zaban mein kahna thi
hum aasman se koi kitab la na sake