اردو हिंदी
Ufuq tak mera sahra khil raha hai | Shaahi Shayari
ufuq tak mera sahra khil raha hai

Ghazal

Ufuq tak mera sahra khil raha hai

Yasmeen Hameed

;

ufuq tak mera sahra khil raha hai
kahin dariya se dariya mil raha hai

libas-e-abr ne bhi rang badla
zamin ka pairahan bhi sil raha hai

isi taKHliq ki aasudgi mein
bahut bechain mera dil raha hai

kisi ke narm lahje ka qarina
meri aawaz mein shamil raha hai

main ab us harf se katra rahi hun
jo meri baat ka hasil raha hai

kisi ke dil ki na-hamwariyon par
sambhalna kis qadar mushkil raha hai