اردو हिंदी
Ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad | Shaahi Shayari
ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

Ghazal

Ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

Aziz Tamannai

;

ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad
usi ki jaanib chali hai sham o sahar ki ye rahguzar shayad

qafas mein dur-o-daraaz se bhini bhini KHushbu si aa rahi hai
chaman chaman hum ko DhunDti hogi mauj-e-fasl-e-bahaar shayad

hazar bar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai
abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e'tibar shayad

na shab ke gesu sanwar sake aur na din ke ruKH par nikhaar aaya
azal se mashshatgi ka har muddai hai na-puKHta-kar shayad

jo har nazar ko bhigo gai hai jo har nafas ko Dubo gai hai
wahi taghayyur ki mauj ek din banegi wajh-e-qarar shayad

wahi hai andaz-e-be-niyazi wahi hai raftar-e-be-shuuri
abhi tak aaankhon mein maujzan hai gae dinon ka KHumar shayad

na jaane hadd-e-nazar se Takra ke kyun tamannai lauT aae
hudud-e-arz-o-saman ke aage khincha hua hai hisar shayad