اردو हिंदी
Uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha | Shaahi Shayari
uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha

Ghazal

Uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha

Ali Jawwad Zaidi

;

uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha
ek tufan tha ki barson hasrat-e-sahil mein tha

rafta rafta har tamasha aansuon mein Dhal gaya
jaane kya aankhon ne dekha aur kya manzil mein tha

dastan-e-gham se lakhon dastanen ban gai
phir bhi wo ek raaz-e-sar-basta raha jo dil mein tha

chashm-e-saqi ke alawa jam-e-KHali ke siwa
kaun apna aashna aghyar ki mahfil mein tha

mere armanon ka markaz mere dardon ka ilaj
TimTimata sa diya ek gosha-e-manzil mein tha

guftugu ke KHatm ho jaane par aaya ye KHayal
jo zaban tak aa nahin paya wahi to dil mein tha

miT gain imroz o farda ki hazaron uljhanen
jo sukun tufan mein paya hai wo kab sahil mein tha