اردو हिंदी
Idhar aae to use pas bula kar dekhen | Shaahi Shayari
idhar aae to use pas bula kar dekhen

Ghazal

Idhar aae to use pas bula kar dekhen

Krishn Murari

;

idhar aae to use pas bula kar dekhen
haal-e-dil us ko zara aaj suna kar dekhen

bazm-e-ishrat mein jo rahti hai musalsal raushan
aaj ki raat wahi shama bujha kar dekhen

zarre zarre mein hain kitne hi manazir raushan
aap palkon ki ye chilman to uTha kar dekhen

zulmat-e-gham mein tajalli ka saman ho shayad
aaj hum apne nasheman ko jala kar dekhen

kitne aks ubhre hain aur kitne hue hain madum
dil ke aaine ko aaina dikha kar dekhen

muddaton se hai jo pahlu mein larazta saya
aaj hum is ko ujalon mein saja kar dekhen

ye bhi ek rang naya rup naya ho shayad
aaj KHud se hi zara KHud ko chhupa kar dekhen