اردو हिंदी
Udas udas the hum usko ek zamana hua | Shaahi Shayari
udas udas the hum usko ek zamana hua

Ghazal

Udas udas the hum usko ek zamana hua

Rind Saghari

;

udas udas the hum us ko ek zamana hua
ghazal ka aaina dekha to muskurana hua

na jaane kitne hi KHabron ne KHud-kushi kar li
chalo ki aaj ka aKHbar bhi purana hua

phir aaj bite hue mausamon ki yaad aai
phir aaj rengte lamhon se dostana hua

ye band kamre ki tanhaiyon ka ghul tha ki phir
hamare wahm par ek war qatilana hua

wo faKHta thi jise goliyon ne bhun diya
ye qatl sehn-e-gulistan mein jarehana hua

hamara shahr raha sirf walwalon ka hi shahr
use nasib kahan zalzale ugana hua

wo munhadim sahi diwar to mili ai 'rind'
usi ke sae mein taskin ka Thikana hua