udas aankhen ghazal aankhen
jawab aankhen sawal aankhen
hazar raaton ka bojh uThiye
wo bhigi palken wo lal aankhen
wo subh ka waqt nind kachchi
KHumar se be-misal aankhen
bas ek jhalak ko taDap rahi hain
rahin-e-shauq-e-visal aankhen
jhuki jhuki si mundi mundi si
amin-e-naz-e-jamal aankhen
wo hijr ke mausamon se uljhi
thaki thaki si niDhaal aankhen
na jaane kyun khoi khoi si hain
bujhi bujhi pur-KHayal aankhen
hain shoKHiyon se chhalakne wali
mohabbaton se nihaal aankhen
agar nigahon se mil gain to
karengi jina muhaal aankhen
chhupe hue hain hazar jazbe
bala ki hain ye kamal aankhen

Ghazal
Udas aankhen ghazal aankhen
Asra Rizvi