uDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko
ba-mushkil kuchh sikhaya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko
gareban chaak karne ka sabab wahshi ne farmaya
ki us ke tar le kar main siyunga chaak-e-daman ko
bahaar aate hi baTti hain ye chizen qaid-KHanon mein
salasil hath ko panw ko beDi tauq gardan ko
jhaDi aisi laga di hai mere ashkon ki barish ne
daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai sawan ko
dil-e-marhum ki mayyat ijazat do to rakh den hum
tere talwe-barabar hi zamin kafi hai madfan ko
ijazat do to sari anjuman ke dil hila dun main
samajh rakkha hai tum ne hech tasiraat-e-shewan ko
suluk-e-pir-e-mai-KHana ki ai saqi talafi kya
ba-juz is ke duaen do use phaila ke daman ko
Ghazal
UDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko
Saail Dehlvi