uDa liye hain kuchh arbab-e-gulistan ne to kya
hazar shewa-e-nau hain meri fughan ke liye
zamin-e-kucha-e-jaanan se aa rahi hai sada
bulandiyan nahin maKHsus aasman ke liye
hai KHatm hausla-mandi wajud-e-adam par
satiza-e-kar hai fath-e-gham-e-jahan ke liye
hai saKHt be-adabi gar kahe fasana-e-ishq
har ek baat munasib nahin zaban ke liye
andheri raat thaki himmaten kaDi manzil
salamti ki dua mang karwan ke liye
sajai fikr-e-daraKHshan ne meri bazm-e-nujum
thi muntazir ye zamin naz-e-asman ke liye

Ghazal
UDa liye hain kuchh arbab-e-gulistan ne to kya
Nihal Sevharvi