ubhre jo KHak se wo tah-e-KHak ho gae
sab paemal-e-gardish-e-aflak ho gae
rakhti thi lag mere gareban se nau-bahaar
daman gulon ke bagh mein kyun chaak ho gae
the dida-ha-e-KHushk mohabbat ki aabru
kam-baKHt un ke samne namnak ho gae
aisa bhi kya mizaj qayamat ka din hai aaj
pesh-e-KHuda tum aur bhi bebak ho gae
aate hi bazm-e-waz se chalte bane 'hafiz'
do harf sun ke sahib-e-idrak ho gae
Ghazal
Ubhre jo KHak se wo tah-e-KHak ho gae
Hafeez Jalandhari