اردو हिंदी
Ubal paDa yak-ba-yak samundar to maine dekha | Shaahi Shayari
ubal paDa yak-ba-yak samundar to maine dekha

Ghazal

Ubal paDa yak-ba-yak samundar to maine dekha

Ghulam Murtaza Rahi

;

ubal paDa yak-ba-yak samundar to main ne dekha
khula jo raaz-e-sukut lab par to main ne dekha

utar gaya rang-e-ru-e-manzar to main ne dekha
haTi nigah-e-bahaar yaksar to main ne dekha

na jaane kab se wo andar andar sulag raha tha
mila jo diwar mein mujhe dar to main ne dekha

tamam gard-o-ghubar dil se nikal chuka tha
baras chuka abr-e-ashk khul kar to main ne dekha

nishan qadmon ke raste mein chamak rahe the
guzar gaya wo nazar bacha kar to main ne dekha

mila ke miTTi mein rakh di us ne ibaadat us ki
jo mere aage na KHam kiya sar to main ne dekha