اردو हिंदी
TuTne par koi aae to phir aisa TuTe | Shaahi Shayari
TuTne par koi aae to phir aisa TuTe

Ghazal

TuTne par koi aae to phir aisa TuTe

Jawad Sheikh

;

TuTne par koi aae to phir aisa TuTe
ki jise dekh ke har dekhne wala TuTe

tu use kis ke bharose pe nahin kat rahi??
charKH ko dekhne wali!! tera charKHa TuTe

apne bikhre hue TukDon ko sameTe kab tak??
ek insan ki KHatir koi kitna TuTe

koi TukDa teri aankhon mein na chubh jae kahin
dur ho ja ki mere KHwab ka shisha TuTe

main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aae
main kisi aur ko dekhun to ye nashsha TuTe

ranj hota hai to aisa ki batae na bane
jab kisi apne ke bais koi apna TuTe

pas baiThe hue yaron ko KHabar tak na hui
hum kisi baat pe is darja anokha TuTe

itni jaldi to sambhalne ki tawaqqo na karo!!
waqt hi kitna hua hai mera sapna TuTe

dad ki bhik na mang!! ai mere achchhe shaer!!
ja tujhe meri dua hai tera kasa TuTe

warna kab tak liye phirta rahun us ko 'jawwad'
koi surat ho ki ummid se rishta TuTe