TuT ke patthar girte rahte hain din raat chaTanon se
sawan ki barsat ki surat barsen tir kamanon se
kale koson dur se aaKHir lae bhi to phul-jhaDiyan
hire bhi to mil sake the soch ki gahri kanon se
is rangin bazar mein koi kya KHushbu ka dhyan kare
phulon ko mali bhi parkhe rangon ke paimanon se
raat sahar ki khoj mein kitne dip jala kar nikle the
kitne tare lauT ke aae hain kale viranon se
tapti dhup mein kab se murakh aas lagae baiTha hai
chashme phuT ke ba niklenge retile maidanon se
biti KHushiyan bhi ab dhyan mein aane se katraati hain
raat ko log guzarte hain haT kar viran makanon se
'amir' kaisa din guzra hai aur ye kaisi sham hui
pahron KHun Tapakte dekha suraj ki shiryanon se

Ghazal
TuT ke patthar girte rahte hain din raat chaTanon se
Sarfaraz Amir