اردو हिंदी
TuT jae to kahin usko bhi chain aata hai | Shaahi Shayari
TuT jae to kahin usko bhi chain aata hai

Ghazal

TuT jae to kahin usko bhi chain aata hai

Rasheeda Saleem Seemin

;

TuT jae to kahin us ko bhi chain aata hai
dil-e-be-tab taDap kar hi sukun pata hai

aap aate to Thahar jate ye lamhe shayad
waqt ko yun bhi guzarna hai guzar jata hai

is tasawwur se ki shab bhar teri rah dekhenge
sham aati hai to dil Dub ke rah jata hai

gham ka ehsas bhi gumbad ki sada ho jaise
dil se Takraata hai phir dil mein palaT aata hai

wusat-e-did nigahon ka muqaddar na bani
aankh ke til mein to aalam bhi simaT aata hai

ashk thamte hain to ho jati hain aankhen KHun-rang
jaan sambhalti hai to dil zabt se mar jata hai

koi nisbat hai tere nam se 'simin' warna
yun kisi baat ka ilzam liya jata hai