tufan nahin guzre ki bayaban nahin guzre
hum marhala-e-zist se aasan nahin guzre
kuchh aise maqamat bhi the rah-e-wafa mein
mahsus ye hota tha ki insan nahin guzre
arsa hua wo zulf-e-pareshan nahin dekhi
muddat hui nazron se gulistan nahin guzre
har hadisa-e-nau se ulajhte gae har gam
hum rahguzar-e-shauq se guzaran nahin guzre
hairan to guzre hain zamane ki rawish se
ye apni rawish thi ki pareshan nahin guzre
kya hum ko sataega gham-e-gardish-e-dauran
hum tujh se abhi ai gham-e-jaanan nahin guzre

Ghazal
Tufan nahin guzre ki bayaban nahin guzre
Syed Zameer Jafri