اردو हिंदी
Tu wafa kar ke bhul ja mujhko | Shaahi Shayari
tu wafa kar ke bhul ja mujhko

Ghazal

Tu wafa kar ke bhul ja mujhko

Aalok Shrivastav

;

tu wafa kar ke bhul ja mujh ko
ab zara yun bhi aazma mujh ko

ye zamana bura nahin hai magar
apni nazron se dekhna mujh ko

be-sada kaghazon mein aag laga
aaj ki raat gunguna mujh ko

tujh ko kis kis mein DhunDhta aaKHir
tu bhi kis kis se mangta mujh ko

ab kisi aur ka pujari hai
jis ne mana tha dewta mujh ko