tu subh-dam na naha be-hijab dariya mein
paDega shor ki hai aaftab dariya mein
chalo sharab piyen baiTh kar kinare aaj
ki howe rashk se mahi kabab dariya mein
tumhaare munh ki safai o aab-dari dekh
baha hai sharm se moti ho aab dariya mein
main is tarah se hun mehman sara-e-duniya mein
ki jis tarah se hai koi hubab dariya mein
jahan ke bahr mein har mauj bujh sail-e-fana
bana na ghar ko tu KHana-KHarab duniya mein
kabhu jo aalam-e-masti mein tum ne ki thi nigah
bajae aab bahe hai sharab dariya mein
main aab-e-chashm mein hun gharq mujh ko nind kahan
kahin kisu ko bhi aaya hai KHwab dariya mein
agar hai ilm jo tujh ko amal ke dar pe ho
wagarna shaiKH Duba de kitab dariya mein
sanam ki zulf ki lahron ke rashk se 'hatim'
nahin ye mauj ye hai pech-o-tab dariya mein
Ghazal
Tu subh-dam na naha be-hijab dariya mein
Shaikh Zahuruddin Hatim