اردو हिंदी
Tu ne jab bhi aankh milai | Shaahi Shayari
tu ne jab bhi aankh milai

Ghazal

Tu ne jab bhi aankh milai

Majeed Lahori

;

tu ne jab bhi aankh milai
dida-o-dil par aafat aai

ye sannaTa ye tanhai
lekin teri yaad to aai

dair-o-haram mein ja baiThe hain
duniya jin ko ras na aai

TuT gain sari zanjiren
zulf tere ruKH par lahrai

manzil dur thi lekin hum ne
ek qadam mein Thokar khai

tujh ko mubarak phul aur kaliyan
mera hissa aabla-pai

chhani hum ne nagri nagri
sahra sahra KHak uDai

kaun 'majid' is bhed ko jaane
kya shai khoi kya shai pai