tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega
dur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega
kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta KHwahishon ka zaiqa rah jaega
dard ki sari tahen aur sare guzre hadse
sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga KHud usi mein ek KHala rah jaega
daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan
ye agar TuTe kabhi to fasla rah jaega
Ghazal
Tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega
Iftikhar Imam Siddiqi