اردو हिंदी
Tu nahin tera istiara nahin | Shaahi Shayari
tu nahin tera istiara nahin

Ghazal

Tu nahin tera istiara nahin

Amjad Islam Amjad

;

tu nahin tera istiara nahin
aasman par koi sitara nahin

wo mere samne se guzra tha
phir bhi main chup raha pukara nahin

wo nahin milta ek bar hamein
aur ye zindagi dobara nahin

har samundar ka ek sahil hai
hijr ki raat ka kinara nahin

ho sake to nigah kar lena
tum pe kuchh zor to hamara nahin