tu nahin hai to zindagi hai udas
har taraf hai muhit zulmat-o-yas
wo musafir qarib-e-manzil hai
kho chuka hai jo apne hosh-o-hawas
utre utre malul chehron par
bikhra bikhra sa rang-e-alam-e-yas
chheD do phir koi tarana-e-gham
TuT jae na zindagi ki aas
maut bhi to use nahin aati
ho chuka hai jo zindagi se udas
KHamoshi ka sabab kuchh aur hi hai
warna dil mein na KHauf hai na hiras
ab ye 'parwez' dil ka aalam hai
koi ummid hai na koi aas

Ghazal
Tu nahin hai to zindagi hai udas
Syed Parvez