tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi
dil na mana warna duniya dekhne ki chiz thi
kya KHabar mere junun ko shahr kyun ras aa gaya
aise aalam mein to sahra dekhne ki chiz thi
tum ko ai aankho kahan rakhta main kunj-e-KHwab mein
husn tha aur husn tanha dekhne ki chiz thi
lams ki lau mein pighalta hujra-e-zat-o-sifat
tum bhi hote to andhera dekhne ki chiz thi
aa gaya mere makan tak aur aa kar rah gaya
barishon ke baad dariya dekhne ki chiz thi
dhup kahti hi rahi main dhup hun main dhup hun
apne sae par bharosa dekhne ki chiz thi
sham ke sae mein jaise peD ka saya mile
mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi
Ghazal
Tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi
Liyaqat Ali Aasim