tu mujh ko jo is shahr mein laya nahin hota
main be-sar-o-saman kabhi ruswa nahin hota
us ki to ye aadat hai kisi ka nahin hota
phir is mein ajab kya ki hamara nahin hota
kuchh peD bhi be-faiz hain is rahguzar ke
kuchh dhup bhi aisi hai ki saya nahin hota
KHwabon mein jo ek shahr bana deta hai mujh ko
jab aankh khuli ho to wo chehra nahin hota
kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se
main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota
main shahr mein kis shaKHs ko jine ki dua dun
jina bhi to sab ke liye achchha nahin hota
Ghazal
Tu mujhko jo is shahr mein laya nahin hota
Farhat Ehsas