اردو हिंदी
Tu mera dost mera yar hai nahin hai kya | Shaahi Shayari
tu mera dost mera yar hai nahin hai kya

Ghazal

Tu mera dost mera yar hai nahin hai kya

Tarkash Pradeep

;

tu mera dost mera yar hai nahin hai kya
tere bhi dil mein bahut pyar hai nahin hai kya

zara si baat pe main tum se ruTh jata hun
ye mere ishq ka izhaar hai nahin hai kya

main apne aap se thoDa bahut mutassir hun
ye meri zat ko aazar hai nahin hai kya

yun apne aap ko barbaad karta hai koi
ai mere dil tu samajhdar hai nahin hai kya