tu KHush-nasib hai har shaKHs hai asiron mein
likha hua hai tere hath ki lakiron mein
jo ho sake to mujhe bhi kahin talash karo
main kho gaya hun KHayalat ke jaziron mein
ye inqilab-e-zamana nahin to phir kya hai
amir-e-shahr jo kal tha wo hai faqiron mein
hamein ye chahiye hushiyar rahbaron se rahen
ki zahr bhi hain lage maslahat ke tiron mein
saDak pe ho gaya phir koi hadisa shayad
ek iztirab sa lagta hai rahgiron mein
KHulus-e-fan hi to 'nadir' ka hai ki shamil hai
ab us ka nam bhi shahr-e-suKHan ke miron mein

Ghazal
Tu KHush-nasib hai har shaKHs hai asiron mein
Athar Nadir