tu jo kahta hai bolta kya hai
amr-e-rabbi hai ruh-e-maula hai
jab talak hai juda tu hai qatra
bahr mein mil gaya to dariya hai
fil-haqiqat koi nahin marta
maut hikmat ka ek parda hai
aur shariat ki puchhta hai tu yar
wahdahu la-sharik yakta hai
haiga wahm-o-qayas se bahar
wo na tujh sa hai aur na mujh sa hai
jahan ho jo kaho sami-o-basir
sab ko dekhe hai sab ki sunta hai
nazar aata nahin wo aama ko
warna us ka zuhur sab ja hai
war tariqat ka tu kare hai sawal
so to kahta hun gar samajhta hai
ghair-e-haq ke na dekh ghair taraf
dida-e-dil jo tera bina hai
baat sunta hai to usi ki sun
gar tariqat se tujh ko bahra hai
us ke tu zikr bin na kar kuchh zikr
gar dahan mein zaban-e-goya hai
hath se kaam bhi usi ka kar
panw se chal jo rah us ka hai
kaam is mein baDa hai nafs-kushi
ho sake to ajab tamasha hai
marifat puchh kya hai aarif se
jis ko irfan hai so to gunga hai
jis ne paya use so hai KHamosh
jis ne paya nahin so bakta hai
aap hi aap hai jahan dekho
kullo-shain muhit-e-paida hai
ishq ka martaba hai sab se buland
sar se pahle qadam guzarta hai
jo hua sirr-e-ishq se aagah
aage marne se aap marta hai
jo fana ho hua baqa-billah
kab use zindagi ki parwa hai
us ko har aan har qadam har dam
az sura sair ta-surayya hai
ramz-e-tauhid ko samajh kar bol
gar tu sahib-shuur-o-dana hai
wo na samjhega ye suKHan 'hatim'
jis ko jahl aur KHayal-e-sauda hai
Ghazal
Tu jo kahta hai bolta kya hai
Shaikh Zahuruddin Hatim