tu jo badla to zamana bhi badal jaega
ghar jo sulga to bhara shahr bhi jal jaega
samne aa ki mera ishq hai mantiq mein asir
aag bhaDki to ye patthar bhi pighal jaega
dil ko main muntazir-e-abr-e-karam kyun rakkhun
phul hai qatra-e-shabnam se bahal jaega
mausam-e-gul agar is haal mein aaya bhi to kya
KHun-e-gul chehra-e-gulzar pe mal jaega
waqt ke panw ki zanjir hai raftar-e-'nadim'
hum jo Thahre to ufuq dur nikal jaega
Ghazal
Tu jo badla to zamana bhi badal jaega
Ahmad Nadeem Qasmi