tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri
ab kahin le ke mujhe chal shab-e-tanha meri
le gaya sath hi apne wo mere KHwab-o-KHayal
zindagi ab bhi wahi hai tah o baala meri
us ki aankhon mein bhi pahchan ke Dore na mile
dil ki dhaDkan bhi salamat thi sarapa meri
main ki apna hi pata puchh raha hun sab se
kho gai jaane kahan umr-e-guzishta meri
chandni jis ke sarapa mein simaT aai thi
aankh ab bhi hai usi husn ki juya meri
ab bhi ek bhiD hai yusuf ke KHaridaron ki
ab bhi istada hai bazar mein duniya meri
dosh par sar ki jagah turra-e-dastar mile
aankh ab le le koi mujh se KHuda-ya meri
Ghazal
Tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri
Lutf-ur-rahman