tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe
apne jine se na kis tarah wo be-zar rahe
zaKHm-e-dil chhile kabhi aur kabhi zaKHm-e-jigar
naKHun-e-dast-e-junun kab mere be-kar rahe
in jafaon ka maza tum ko chakha dewenge
han agar zinda hum ai charKH-e-jafakar rahe
mai-kade mein hai baDi ye hi mughan ki piri
ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyar rahe
jalte bhunte rahe hum bazm-e-butan mein lekin
shama san us pe bhi sar dene ko tayyar rahe
yun to kya KHwab mein bhi yar ka milna malum
apne gar aah yahi tala-e-bedar rahe
ek ja sine mein un donon ka rahna hai muhaal
ya ye dil hi rahe ya aah-e-sharar-bar rahe
us se dil KHak ho ummid-e-husul-e-matlab
jis se ek bose pe sau tarah ki takrar rahe
le ke paikan se tere tir bata to qatil
KHun mein Dube nahin kab ta lab-e-sofar rahe
jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chahe
par kisi tarah teri garmi-e-bazar rahe
bazi-e-ishq mein chipke raho kya KHak kahen
ek dil rakhte the pas apne so bar rahe
aisa dam nak mein aaya hai ki hum raazi hain
'aish' gar sine mein is dil ke ewaz KHar rahe
Ghazal
Tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe
Aish Dehlvi