tu hi anis-e-gham raha nala-e-gham-gusar-e-shab
yas-pasand jab hua bismil-e-intizar-e-shab
rang-e-shikast kyun na ho haal-e-umid-war-e-shab
tu hi to ishwa-gar hua bais-e-intishaar-e-shab
shauq-e-liqa-e-ru-e-yar chashm-ba-rah-e-intizar
aah-e-sahar se ja mila dida-e-ashk-bar-e-shab
dard-e-shakeb-soz hai karb wahi hanuz hai
dekh na ho wo bewafa aaj kahin nisar-e-shab
lail-o-nahaar sazgar apne kabhi nahin hue
dekhte kash ai nigar wada-e-ustuwar-e-shab
bahr-e-KHuda kabhi to kar shad shahid-e-shauq ko
roz-e-said hai wahi yar jo tu ho yar-e-shab
waqfa-e-umr ek dam haif hai wo bhi sarf-e-gham
kis ko hai e'timad-e-roz kis ko hai e'tibar-e-shab
din ko KHayal wasl ka raat ko dard-e-hijr hai
shaghl wo roz ka hua aur ye karobar-e-shab
ye shab-e-mahtab hai saf hamein jawab hai
mah-laqa hain muntazir mil ke dikha bahaar-e-shab
hasrat-e-ishtiyaq ne aaj kiya shahid-e-hijr
mere dil-nigar ka dekh to le mazar-e-shab
bab-e-qubul-e-muddaa dai-e-KHair hai tera
ho dil-e-shab mein nala-kash ai dil-e-be-qarar-e-shab
ab nahin waqf-e-intizar raat ko mil gaya nigar
mera karim-e-kar-saz ho gaya pardar-e-shab
dam-kash-e-aish-o-KHurrami tha ye firaq-e-sona-soz
daur-e-nashat ho gaya shukr hai ham-kanar-e-shab
baad-e-firaq rang-e-wasl hota hai ain imbisat
mera wo rahat-e-rawan dil se hua do-chaar-e-shab
is ka shiar kyun na ho pas-e-hijab-e-ashiqan
shab hai hamari raazdan hum jo hain raazdar-e-shab
chhup na saka hijab mein ishwa-e-husn-e-KHud-numa
aaya jo mah oDh kar chadar-e-zar-nigar-e-shab
jam sharab-e-shauq ka deta hai shoKH mah-ru
mast-e-surur kyun na hon 'saqi' mai-gusar-e-shab
Ghazal
Tu hi anis-e-gham raha nala-e-gham-gusar-e-shab
Pandit Jawahar Nath Saqi

