tu hai ki chistan ki ibarat hai tah-ba-tah
dil hai ki sang-basta-e-hairat hai tah-ba-tah
jo aankh dekhne mein KHaraba dikhai de
samjho ki is mein koi amanat hai tah-ba-tah
bahr-e-ana hun meri tahon mein utar ke dekh
KHwabida mujh mein waqt ki mayyat hai tah-ba-tah
wo chashm-e-surma-sa ki jise be-zaban kahen
us ki KHamoshiyon mein ishaarat hai tah-ba-tah
fursat kahan ki ghair se hum dushmani karen
apna wajud ek musibat hai tah-ba-tah
shayad koi gaya ho zamane se kaamgar
apni to zist kan-e-nadamat hai tah-ba-tah
Ghazal
Tu hai ki chistan ki ibarat hai tah-ba-tah
Khursheed Rizvi

