tu bhi ho jaega pani pani
pyas hai meri purani pani
rah ke sahra mein hara ho gaya main
mujh mein bahne laga dhani pani
kahti jati hai kahani koi
teri har aan rawani pani
tu to rahta hai meri aankhon mein
tujh se kya baat chhupani pani
pyas roke hue main baiTha tha
aur phir chiKH uTha pani pani
main ne khincha tha hawa par koi lafz
likhta hai jis ke maani pani
meri aankhon se bhi ek bar nikal
dekhun main teri rawani pani
halq se zahr utarun 'athar'
la mere dushman-e-jaani pani
Ghazal
Tu bhi ho jaega pani pani
Mirza Athar Zia