اردو हिंदी
Tu baaton mein bigaD jata hai mujhse | Shaahi Shayari
tu baaton mein bigaD jata hai mujhse

Ghazal

Tu baaton mein bigaD jata hai mujhse

Mirza Azfari

;

tu baaton mein bigaD jata hai mujh se
parai pach pe laD jata hai mujh se

ye kya kaj-kawiyan aur TeDhiyan hain
ki tap tap ko jhagaD jata hai mujh se

hamesha mash ka aaTa sa kyun tu
zari bhar mein akaD jata hai mujh se

bura hai ishq ka aazar yaro
ye aksar waqt aD jata hai mujh se

tababat mein masiha hun wa-lekin
maraz ye to chapaD jata hai mujh se

hai jaani tujh mein sab KHubi pa jaan sa
tu ek dam mein bichhaD jata hai mujh se

hai dushman man-chala par 'azfari' dekh
nazar paDte sankaD jata hai mujh se