اردو हिंदी
Tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera | Shaahi Shayari
tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera

Ghazal

Tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera

Aslam Mahmood

;

tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera
mujhe aziz hai ye kucha-e-malal mera

abhi to hona hai ek raqs-e-be-misal mera
diye ki lau se abhi dekhna visal mera

wo dard hun koi chaara nahin hai jis ka kahin
wo zaKHm hun ki hai dushwar indimal mera

to kya ye waqt yunhi raundta rahega mujhe
Daraata rahta hai mujh ko yahi sawal mera

jawaz rakhta hun main apne zinda hone ka
ki ek KHwab se hai silsila bahaal mera

hawa ki dosti achchhi na dushmani achchhi
charagh pahle na tha ab hai ham-KHayal mera

main aks ban ke isi se ubharna chahta hun
so mere aaina-gar aaina ujal mera

lahu ki nazr hua ek ek KHwab-e-numu
hawa ke sath gaya KHema-e-KHayal mera

kabhi main shoala tha ab sirf rakh hun 'aslam'
halak kar ke raha mujh ko ishtial mera