tu apne phul se honTon ko raegan mat kar
agar wafa ka irada nahin to han mat kar
tu meri sham ki palkon se raushni mat chhin
jahan charagh jalae wahan dhuan mat kar
phir is ke baad to aankhon ko sang hona hai
mili hai fursat-e-girya to raegan mat kar
chhalak raha hai tere dil ka dard chehre se
chhupa chhupa ke mohabbat ko dastan mat kar
tu jate jate na de mujh ko zindagi ki dua
main ji sakunga tere baad ye guman mat kar
Ghazal
Tu apne phul se honTon ko raegan mat kar
Qaisar-ul-Jafri

