tu apne husn ki aaraishon mein gum ho ja
mujhe na dekh mere sath sogwar na ho
teri nazar ki ye aawargi tujhe malum
KHuda kare ki kabhi mujh pe aashkar na ho
ye marhala bhi meri wahshaton mein baqi hai
ki dil ke dard mein tera koi shumar na ho
kabhi to ho ki kare tu bhi pyar ke wade
kabhi to ho ki mujhe tera eatibar na ho
ye soch kar tere daman se hath khinch liya
kahin ye dast-e-wafa tujh ko nagawar na ho
na jaane kyun isi tashwish mein guzari umr
ki zindagi kisi dast-e-karam pe bar na ho

Ghazal
Tu apne husn ki aaraishon mein gum ho ja
Syed Muneer