tu ang ang mein KHushbu si ban gaya hoga
main sochta hun ki tujh se gurez kya hoga
tamam raat mere dil se aanch aati rahi
kahin qarib koi shahr jal raha hoga
tu mere sath bhi rah kar mere qarib na tha
ab is se aur fuzun fasla bhi kya hoga
mujhe KHud apni wafa par bhi e'timad nahin
kabhi to tu bhi meri tarah sochta hoga
kabhi to sang-e-malamat kahin se aaega
koi to shahr mein apna bhi aashna hoga
zara si baat pe kya doston ke munh aaen
gharib dil tha murawwat mein jal-bujha hoga
Ghazal
Tu ang ang mein KHushbu si ban gaya hoga
Gulam jilani Asghar