اردو हिंदी
Tu agar dil mein ek bar aae | Shaahi Shayari
tu agar dil mein ek bar aae

Ghazal

Tu agar dil mein ek bar aae

Arsh Malsiyani

;

tu agar dil mein ek bar aae
umr bhar ke liye qarar aae

aashiyana hi gulsitan mein nahin
ab KHizan aae ya bahaar aae

wo na aaen to ai dam-e-aKHir
lab pe nam un ka bar bar aae

maut ne aasra diya bhi to kab
jab musibat ke din guzar aae

yas kahti hai kuchh tamanna kuchh
kis ki baaton pe e'tibar aae

ye to kuchh talKH thi mere saqi
ab jo aae wo KHush-gawar aae

us ko tera payambar samjhun
maut agar waqt-e-intizar aae

'arsh' wo be-qarariyan na rahin
dil ko ab kis tarah qarar aae