tu agar abr hai main abr mein pani ki tarah
main tere sath hun lafzon mein maani ki tarah
nafsi-nafsi ka ye aalam hai ki aate jate
tum mile bhi to qayamat ki nishani ki tarah
yun hi ek roz guzar jaunga rahon se teri
main bhi bahti hui nadiyon ki rawani ki tarah
dekh kar tujh ko kaleje mein kasak uThti hai
dhaj teri hai meri aashufta-bayani ki tarah
na-muradi mein tu ai dasht akela hi nahin
main bhi pyasa hun teri tishna-dahani ki tarah
aaj sun lo meri baaten ki abhi zinda hun
kal suna jaunga mahfil mein kahani ki tarah

Ghazal
Tu agar abr hai main abr mein pani ki tarah
Noman Imam