اردو हिंदी
Tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya | Shaahi Shayari
tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya

Ghazal

Tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya

Mirza Azfari

;

tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya
KHushi hain minnat-e-jaan se to be-niyaz kiya

kahan ki aql kidhar ke hawas kaisa hosh
KHirad ke qasr pe tu ne to tark-e-naz kiya

hamare kalba-e-ahzan mein kar qadam-ranja
nihaal hum ko tu ai sarw-e-sarfaraaz kiya

kiya tha tegha-e-abru ne muKHtasar qissa
pa teri kakul-e-mushkin ne phir daraaz kiya

dil aur laun kahan se lage jo auron se
jo ek dal tha so wo to teri niyaz kiya

ye tifl-e-ashk mera 'azfari' hai nashudani
jawana-marg meri us ne fash raaz kiya