turfa majun hai hamara yar
ghair se ham-kanar hum se kanar
hum kahen bagh chal to han na kahe
ghair ke sath roz sair o shikar
hum ko majlis mein dekh chup ho jae
ghair se Tok kar kare guftar
hum ko dekhe kahin to aankhen churae
ghair ko dekh kar aap se ho do-chaar
ghair se saf sina ho ke mile
hum se dil mein rakhe hamesha ghubar
ghair jaur-o-jafa o be-mehri
hum se is ka nahin hai aur shiar
ghair ki baat sun ke KHush howe
hum se har baat mein kare takrar
minnat-o-ijz-o-inkisar-o-niyaz
karte karte hue bahut lachaar
wo kisi tarah aashna hi nahin
imtihan hum kiya hai chanden yar
zara bhi kan dhar kabhu na sune
dard-e-dil hum agar karen izhaar
jaan aur mal de chuken us ko
dil se jaane hamein agar gham-KHwar
jo rahe hum se roz begana
sohbat aise se kaise ho barrar
kar ilahi tu mehrban us ko
jis ke pichhe hue hain zar-o-nizar
gharaz ab shikwa kab talak kije
chup hi rahna hai 'hatim' ab darkar
Ghazal
Turfa majun hai hamara yar
Shaikh Zahuruddin Hatim