اردو हिंदी
Tumhein kyunkar bataen zindagi ko kya samajhte hain | Shaahi Shayari
tumhein kyunkar bataen zindagi ko kya samajhte hain

Ghazal

Tumhein kyunkar bataen zindagi ko kya samajhte hain

Firaq Gorakhpuri

;

tumhein kyunkar bataen zindagi ko kya samajhte hain
samajh lo sans lena KHud-kushi karna samajhte hain

kisi badmast ko raaz-ashna sab ka samajhte hain
nigah-e-yar tujh ko kya bataen kya samajhte hain

bas itne par hamein sab log diwana samajhte hain
ki is duniya ko hum ek dusri duniya samajhte hain

kahan ka wasl tanhai ne shayad bhes badla hai
tere dam bhar ke mil jaane ko hum bhi kya samajhte hain

umidon mein bhi un ki ek shan-e-be-niyazi hai
har aasani ko jo dushwar ho jaana samajhte hain

yahi zid hai to KHair aankhen uThate hain hum us jaanib
magar ai dil hum is mein jaan ka khaTka samajhte hain

kahin hon tere diwane Thahar jaen to zindan hai
jidhar ko munh uTha kar chal paDe sahra samajhte hain

jahan ki fitrat-e-begana mein jo kaif-e-gham bhar den
wahi jina samajhte hain wahi marna samajhte hain

hamara zikr kya hum ko to hosh aaya mohabbat mein
magar hum qais ka diwana ho jaana samajhte hain

na shoKHi shoKH hai itni na purkar itni purkari
na jaane log teri sadgi ko kya samajhte hain

bhula din ek muddat ki jafaen us ne ye kah kar
tujhe apna samajhte the tujhe apna samajhte hain

ye kah kar aabla-pa raundte jate hain kanTon ko
jise talwon mein kar len jazb use sahra samajhte hain

ye hasti nisti sab mauj-KHezi hai mohabbat ki
na hum qatra samajhte hain na hum dariya samajhte hain

'firaq' is gardish-e-ayyam se kab kaam nikla hai
sahar hone ko bhi hum raat kaT jaana samajhte hain