tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal
tumhaare qadmon ki aandhi mein ho gae pamal
tere badan ki mahak ne sula diya tha magar
hawa ka andha musafir chala anokhi chaal
wo ek nur ka sailab tha ki usi ka safar
wo ek nuqta-e-mauhum tha ki ye bad-haal
ajib rang mein warid hui KHizan ab ke
damakte honT sulagti nazar dahakte gal
tere karam ki to har su mahakti barkha thi
hamin the jin ko hua bhiga pairahan bhi wabaal

Ghazal
Tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal
Wazir Agha