tumhein jine mein aasani bahut hai
tumhaare KHun mein pani bahut hai
kabutar ishq ka utre to kaise
tumhaari chhat pe nigarani bahut hai
irada kar liya gar KHud-kushi ka
to KHud ki aankh ka pani bahut hai
zahar suli ne gali goliyon ne
hamari zat pahchani bahut hai
tumhaare dil ki man-mani meri jaan
hamare dil ne bhi mani bahut hai

Ghazal
Tumhein jine mein aasani bahut hai
Kumar Vishwas