tumhein ghamon ka samajhna agar na aaega
to meri aankh mein aansu nazar na aaega
ye zindagi ka musafir ye be-wafa lamha
chala gaya to kabhi lauT kar na aaega
banenge unche makanon mein baiTh kar naqshe
to apne hisse mein miTTi ka ghar na aaega
mana rahe hain bahut din se jashn-e-tishna-labi
hamein pata tha ye baadal idhar na aaega
lagegi aag to samt-e-safar na dekhegi
makan shahr mein koi nazar na aaega
'wasim' apne andheron ka KHud ilaj karo
koi charagh jalane idhar na aaega
Ghazal
Tumhein ghamon ka samajhna agar na aaega
Waseem Barelvi