tumhein aisa be-rahm jaana na tha
gharaz kya kahen dil lagana na tha
agar us gali se nikalte to phir
do aalam mein apna Thikana na tha
liya imtihan-e-wafa hi mein ji
hamein yan talak aazmana na tha
wo tha kaun sa tera tir-e-sitam
ki main aah us ka nishana na tha
kiya kis ki aankhon ne 'rasiKH' pe sehr
wo aage to aisa diwana na tha
Ghazal
Tumhein aisa be-rahm jaana na tha
Rasikh Azimabadi