tumhaari zulf ke charche pareshaniyon mein rahte hain
meri diwangi ke zikr diwanon mein rahte hain
nahin parawa-e-iman kafiran-e-ishq ko hargiz
unhen kaba se kiya matlab jo but-KHanon mein rahte hain
talash is rashk-e-laila ki jo rahti hai hamein har-dam
usi se qais ke manind wo viranon mein rahte hain
miyan-e-mahfil-e-ahbab hai wo shama ki surat
hum us se lau lagae us ke parwanon mein rahte hain
falak se baDh ke rutba ho na kyun kar qasr-e-jaanan ka
malaek jis jagah adna se darbanon mein rahte hain
ajab hai nek sohbat ki na hota sair insan mein
mohazzab bante hain haiwan jo insanon mein rahte hain
na ho mazmun aali kyun bhala ashaar 'ahqar' mein
suKHan-danon se sohbat hai zaban-danon mein rahte hain

Ghazal
Tumhaari zulf ke charche pareshaniyon mein rahte hain
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar